Friday, 4 April 2014

EK CHOTI SI KAHAANI


                              

PART I:

               Ek choti si sachchi kahaani sunaata hoon.

               Kuch aadhi kuch poori sunaata hoon.

              Dur kahin ek choti si riyasat ki rajkumari thhi.

             Bas naazon ki pali dil ki bhali ek kali thhi.

            Mera bhi uss shahar mein jaana hua

            Bass uss ittefaq se ek afsaana hua.

           Duniya aise rishton ko na jaanti na samajhti hai

          Par dilon ki chahaton ke saamne kisi ki kya hasti hai

          Kya nadiyon ke paani kisi raaste ke mohtaaj hote hain.

         Kya savere ki roshni ko kisi ke jaagne ka intezaar hota hai.

         Ramte jogi aur behte paani apni mauj mein chale jaate hain

         kabhi kabhi tarey  bhi zameen par aa jate hain

        usney poocha matlab batao kya hai yeh zindagi

      maine kaha-‘naye sapne jo bun sake,naye raaste jo chun sakey

         vohi zindagi hai zindagi.

          Voh muskuraakar boli-vah,bandagi hai huzoor,meri bandagi

         Par ek din kuch aisa hua.

        Jo naa hona thha vaisa hua.

         Sitam voh dost kuch aisa kar gaya,

Kuch aisa kaha ki mano main jeete ji mar  gaya

Bas dard ke zalzale mein ham kuch aise judaa huey

Na  mil sakenge kabhi dil ko yahi ehsaas huey

Meri to kya kahoon doston,bas yahi kehta hoon-

‘koi na sahe aisa gam bhi.kar na sakey aankhen nam bhi

Saath koi ho na aise.saath kabhi na thhe jaise.’

Socha na thha dosti ka yeh bhi anjaam aayega

Royegi voh aur dil ko merey karaar aayega.

PAR,

Shayar ko kehte suna thha-‘

‘’khush rahe ya udaas rahe,

Zindagi tere aas paas rahe”

Sach hai dost-

Aadmi ke liye zaroori hai,

Koi ummeed koi aas rahe

Maut ko log yun hi badnaam karte hain,takleef to zindagi deti hai,

Nafraton ke naam jo gunaah hain hisaab voh mohabbat leti hai.

Zindagi kuch phir meherbaan hui.voh dikhi aur phir naye sirey se pehchaan hui

Dil ke dard ke bavajood maine us sey kaha

Na koi rakeeb hota hai na koi habeeb hota hai

Jab kudrat ka noor barasta hai,tab kisee ka saath naseeb hota hai.

Tab se ek ummeed si bandh chali hai ki

UMR KE PHOOL SOOKHENGE BIKHAR JAYENGE

KAUN JAANE IN HAWAON MEIN KIDHAR JAYENGE

PAR TASAVURRAT KI TANHAIYON MEIN MEHKENGE CHAND LAMHAAT

JO AAP JAISE DOSTON KI SOHBAT MEIN GUZAR JAYENGE.

KahAANI aage kya mod legi nahi jaanta hoon

kudrat hi raasta dikhaayegi yeh manta hoon.

saath hon ya juda ho jayen gam nahi

jo khoobsoorat pal saath bitaye voh kam nahi

voh kahin duniya mein khush ho yahi dua rahe

zindagi meri bhi iss ehsaas se khushnuma rahe…………

 

PART II:

BAS AAGE KAHAANI KA ANJAAM YEH HUA

USS DOSTI KA KAAM YUN HI TAMAAM HUA

BAKAUL SHAAYAR

“ZINDAGI KI RAHON MEIN RANJO GAM KE MELE HAIN.

VOH HAIN UDHAR TANHA,HAM IDHAR AKELE HAIN.”

AISA KYOON HOTA HAI KI HAM JINHE CHAHTE HAIN UNHEE KO SABSE ZYAADA DUKH DETE HAIN,

AISA KYOON HOTA HAI KI JINKE SAATH HONA CHAHTE HAIN UNHEE SE JUDA HOTE HAIN.

NAZREN BADLI NAZARE BADLE,KASHTI BADLI QANARE BADLE

WAQT BADLA WAQT KE ISHAARE BADLE,MERA YAAR BADLA,DOSTI KE SAHAARE BADLE

BAHUT DIN HUEY MAR GAYA GALIB MAGAR YAAD AATA HAI

VOH HAR EK BAAT PE KEHNA’KI YUN HOTA TO KYA HOTA’

‘HAMKO DUBOYA HONE NE JO NA HOTA TO KYA HOTA’

AAKHRI DO SHABD-

FAISLE KAL BHI TUMHARE THHE,FAISLE AAJ BHI TUMHARE HAIN.

HAM TO KAL BHI HAARE THHE,HAM TO AAJ BHI HAARE HAIN.

 

 

 

                 AUR YEH ENDING NA PASAND AAYI HO TOAH BADAL DETE HAIN!!

 

PART III:  

AAGE KA DOSTON BAS YEH NAZAARA HUA.

HAATH UNKE HAATH MEIN DO DILON KO SAHARA HUA.

GALAT MAT SAMAJHNA DOSTON, DAASTAN YEH MOHABBAT KI NAHIN.

USKE AAGE KA JAZBA HAI YEH NAAM JISKA DOSTI HAI SAHI

KHUSHIYAN KISI KI MOHTAJ NAHIN HOTIN,

DOSTI YUN HI ITTEFAQ SE NAHIN HOTI,

KUCH TO MAYNE HONGE UN PALON KE,

VARNA YUN HI UNSE MULAQAT NAHIN HOTI

ZINDAGI MEIN-

PYAAR SE BADA KOI JAZBAA NAHIN HOTA.

LEKIN DOSTI SE BADA KOI RISHTA NAHIN HOTA

AUR DOSTON,

BHAROSE SE BADA KOI TOHFA NAHIN HOTA

ACHCHI NIYAT AUR BURA WAQT ZYAADA DIN SAATH NAHIN CHALTE.

ISILIYE AAJ TAK HAMAARI DOSTI PAAK HAI ,

WAQT KARLE JO CHAHE SITAM,KOI GAM NAHIN

JAB TAK APNE HAATH MEIN UNKA HAATH HAI.

 

 

3 comments:

  1. Part II or Part III is always writer's choice, reader has no choice.

    ReplyDelete
  2. FALSE.THE READER HAS A CHOICE TO PREFER ONE ENDING OVER ANOTHER.
    AND THE PRINCESS HAS THE CHOICE TO TAKE PART II OR III.BUT DOES SHE HAVE THE GUTS?CAN SHE CHOOSE WHAT SHE REALLY WANTS?DOES SHE KNOW WHAT SHE REALLY WANTS?

    ReplyDelete
  3. Dil ke dard ko samjhana chahte hain
    Ek. Mauka dijiye kuch batana chahte hain
    Kasoorwaar hain jo tera dil dukhaya
    saja jo bhi de kabool hogi
    Ab phr se na aisi bhul hogi
    Dil ke tutne ki awaj to tune bhi suni hogi
    Kya hua pata nahi jo aisi khata ho gayi
    Maangi thi dosti par bewafa ho gayi
    Maafi chahte hain jo itna dard diya
    Par tune bhi kahan sunwai ka mauka diya

    ReplyDelete